Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Wednesday, October 5, 2016

Azb ki Zarb by Arif Ansari & Wahab Khan -Poet Absar Ahmed ( 1st Patriotic Song Where Mentioned the Name of Gen.Raheel Shareef )


( 1st Patriotic Song Where Mentioned the Name of Gen.Raheel Shareef )

Hum Tere Mujahid Shah-e-Arab(SawW)
Tere Naam Hi se hai, Yeh Apna Sabab
Yeh Azb ki hai Zarb , Dushman pe Ghazab
Tere Naam hi se hai Yeh Apna Sabab
Moun Mor Diya Kohsaaron ka
Rakha hai Bharam Chanaaron ka
In Azmat ke Minaaron ka
In Masjid aur Darbaaron ka
Aye Pak Watan Tera Dil mai Adab 
Yeh Azb ki hai Zarb , Dushman pe Ghazab
Islam ka Parcham Hath Apne
Hai Tegh-e-Nabi(SawW) bhi Sath Apne
Raheel sa Apna Rehbar hai
Yeh Arz-e-Muqaddas Mehwar hai
Aye Adu-e-Watan Bach na Paye ga Ab
Yeh Azb ki hai Zarb , Dushman pe Ghazab
Yeh Pak Watan Azad Rahe
Tera Nagar Nagar Abad rahe
Tera har Dushman Barbaad Rahe
Tera Har Farzand Faulad rahe
Tujh par Qaayen Rahe Rehmat-e-Rab
Yeh Azb ki hai Zarb , Dushman pe Ghazab
Aye Ahl-e-Watan Na hona Udaas
Hum Barhtay rahen liye Haathon mai Raas
Is Zarb se hua hai Dushman Faash
Hum Amn ke Safeer Hamen Amn ki Talaash
Is Amn ke liye Apni Chhab Dhub
Yeh Azb ki hai Zarb , Dushman pe Ghazab
Hum Tere Mujahid Shah-e-Arab(SawW)
Tere Naam Hi se hai, Yeh Apna Sabab
Yeh Azb ki hai Zarb , Dushman pe Ghazab
Tere Naam hi se hai Yeh Apna Sabab
Yeh Azb ki hai Zarb , Dushman pe Ghazab


Singers : Arif Ansari , Wahab Khan , Mazhar Tufail & Fateh Ali Khan
Poet : Absar Ahmed
Music : Ghulam Abbas
Recording Engineers : Mushtaq Ahmed, Safdar Abbas
Producer : Atiya Amir
Executive Producer : Bushra Noor Khwaja
Central Production Unit Radio Pakistan Karachi.


No comments: