Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Saturday, October 6, 2012

La Phir Ik Bar Wohi Bada-o-Jam Aye Saqi( SaW )-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics & Download )

La Phir Ik Baar Wohi Bada-o-Jaam Aye Saqi!
Hath Ajaye Mujhe Mera Maqam Aye Saqi!
Ishq ki Tegh Jigar Dar Ura li kis ne
Ilm ke Hath mai hai Khali hai Nayam Aye Saqi!
Sher Mardon se Huwa Besha-e-Tehqeeq Tahi
Reh Gaye Sufi-o-Mulla ke Ghulam Aye Saqi!
Seena Roshan ho to Soz-e-Sukhan Ain-e-Hayat
Ho na Roshan to Sukhan Marg-e-Dawam Aye Saqi!
Tu Meri Raat ko Mahtab se Mehroom Na Rakh
Tere Paimanay mai hai Mah-e-Tamam Aye Saqi!
La Phir Ik Baar Wohi Bada-o-Jaam Aye Saqi!
Hath Ajaye Mujhe Mera Maqam Aye Saqi!


In this Ghazal " Saqi " Is the Symbol of Holy Prophet Nabi-e-Karim(SaW).

Poet                 : Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Vocalist           : Nusrat Fateh Ali Khan
Released         : 1993
Re-Arranged  : Salamat Ali Khan ( In 1997 for radio Pakistan Karachi. )
                        : Shabnam Majeed ( In 2005 for PTV Islamabad )
La Phir Ik Bar Wohi Bada-o-Jam Aye Saqi(SaW)..!! Kalam-e-Iqbal by Nusrat Fateh Ali Khan ( MP3 Download )



La Phir Ik Bar Wohi Bada-o-Jam Ay Saqi(SaW)- Kalam-e-Iqbal by Shabnam Majeed ( MP3 Download ) 



La Phir Ik Bar Wohi Bada-o-Jam Aye Saqi(SaW) by Salamat Ali Khan ( MP3 Download ) 

No comments: